dard-e-dil yar raha dard se yari na gai
zindagi hum se to be-lutf gizari na gai
din ke nale na gae raat ki zari na gai
na gai dil se kabhi yaad tumhaari na gai
hum to KHun-gashta tamannaon ke matam mein rahe
sina-kubi na gai sina-figari na gai
intizar aap ka kab lutf se KHali nikla
raegan raat kisi roz hamari na gai
baKHshwaya mujhe tum ne to KHuda ne baKHsha
na gai roz-e-jaza baat tumhaari na gai
log kahte hain badalta hai zamana lekin
din hamara na gaya raat hamari na gai
Ghazal
Dard-e-dil yar raha dard se yari na gai
Mubarak Azimabadi