dard-e-dil la-dawa nahin hota
han magar hausla nahin hota
gham KHushi rang zindagi ke hain
raat bin din naya nahin hota
raushni se chhupate hain chehre
jab andhera zara nahin hota
chand yaaden hain kuchh jawan sochen
kaun tanha sada nahin hota
Thahre pani to gadle hote hain
kyun kahun wo juda nahin hota
rahte hain ek ghar mein hi lekin
muddaton samna nahin hota
muskuraun to sab 'umar' hamdam
gham mein ek aashna nahin hota

Ghazal
Dard-e-dil la-dawa nahin hota
Khalid Mahmood Amar