dard-e-dil ko dastan-dar-dastan hone to do
shahr-e-qatil mein zara amn-o-aman hone to do
meri aah-e-nim-shab manzil-numa-e-shauq hai
nala-e-dil ko rahil-e-karwan hone to do
aur bhi na-qadr-dani-e-hunar yaad aaegi
ham-nashinon ko malal-e-raftagan hone to do
dil udhar mail hua hi tha ki wahshat baDh gai
us ki chahat ko zara aatish-ba-jaan hone to do
KHana-e-be-rang bhi hai shisha-e-sad-rang bhi
dil ko pahle be-niyaz-e-in-o-an hone to do
surKHi-e-KHun-e-tamanna aabru-e-ishq hai
aarzuon ka lahu rang-e-bayan hone to do
hai nihan mashq-e-suKHan mein fikr-o-fan auj-e-suKHan
han zamin-e-sher ko 'barq' aasman hone to do
Ghazal
Dard-e-dil ko dastan-dar-dastan hone to do
Talha Rizvi Barq