dard-e-dil ki unhen KHabar na hui
aah minnat-kash-e-asar na hui
apni taqdir rah par na hui
koi tadbir kargar na hui
jurm-e-ulfat se jhuk gain aankhen
chaar un se meri nazar na hui
naza mein wo na aae baalin par
maut bhi meri mo'atabar na hui
dekhte hain sabhi nazar un ki
aur apni nazar nazar na hui
yun tamanna ke phul murjhae
shaKH-e-ummid barwar na hui
un se milne ki aarzu puri
hashr se wo bhi peshtar na hui
hijr ki shab mariz-e-furqat ne
jaan de di magar sahar na hui
aise jine se maut behtar hai
zindagi zindagi agar na hui
saikDon inqalab aae magar
dil ki duniya idhar-udhar na hui
lakh science ne taraqqi ki
dastaras maut par magar na hui
kya karen sharh-e-haal-e-dil 'shoala'
gham ki rudad muKHtasar na hui
Ghazal
Dard-e-dil ki unhen KHabar na hui
Shola Kararvi