اردو हिंदी
Dard-e-dil ki dawa na ho jae | Shaahi Shayari
dard-e-dil ki dawa na ho jae

Ghazal

Dard-e-dil ki dawa na ho jae

Jigar Jalandhari

;

dard-e-dil ki dawa na ho jae
zindagi be-maza na ho jae

lutf deti hai kya umid-e-wafa
bewafa ba-wafa na ho jae

kaise betab un ko dekhunga
aah yarab rasa na ho jae

dil mein hasrat basa to li hai magar
ye kaDi silsila na ho jae

apni duniya usi se raushan hai
gul charagh-e-wafa na ho jae

hum sitam ko karam samajhte hain
un pe ye raaz wa na ho jae

ek zamana hai us ka diwana
kahin wo but KHuda na ho jae

dil hi sab se baDa sahaara hai
dil kisi se juda na ho jae

tum agar chhu lo apne honTon se
sher mera tera na ho jae

dil luTa kar 'jigar' hamari tarah
koi be-asra na ho jae