dard-e-dil ki dawa hai mah-e-nau
aasman par khila hai mah-e-nau
meri hi tarah tera bhi un se
kya koi wasta hai mah-e-nau
un ka chehra dikhai deta hai
kya koi aaina hai mah-e-nau
muskuraata hai dekh kar hum ko
jaise sab jaanta hai mah-e-nau
din ko sota hai wo na jaane kahan
raat ko jagta hai mah-e-nau
rah ke meri tarah se chup 'anwar'
jaane kya sochta hai mah-e-nau
Ghazal
Dard-e-dil ki dawa hai mah-e-nau
Anwar Jamal Anwar