dard-e-dil ke tabib hote hain
baz dushman ajib hote hain
waswase uljhanen tamannaen
dil ke kitne raqib hote hain
hanste hanste bigaDna ho jin ko
aise bhi to nasib hote hain
maut aur zindagi ke rishton mein
fasle kuchh ajib hote hain
din agar kaT bhi jata hai 'adil'
shab ke sae muhib hote hain
Ghazal
Dard-e-dil ke tabib hote hain
Adil Hayat