اردو हिंदी
Dard-e-dil ke sath kya mere masiha kar diya | Shaahi Shayari
dard-e-dil ke sath kya mere masiha kar diya

Ghazal

Dard-e-dil ke sath kya mere masiha kar diya

Guhar Khairabadi

;

dard-e-dil ke sath kya mere masiha kar diya
be-qarari baDh gai hai jab se achchha kar diya

kya ajab thi un ke pakiza tabassum ki kiran
qalb ki tarik basti mein ujala kar diya

jab na un ke raaz-e-wahshat tak pahunch pai nazar
hosh walon ne junun walon ko ruswa kar diya

nafraton ki had bana kar apne mere darmiyan
wo bhi tanha rah gae mujh ko bhi tanha kar diya

ab to had se baDh gai thin apne dil ki uljhanen
muskura kar aap ne gham ka mudawa kar diya

har-nafas baad-e-sahar ki tarah maujen le uTha
kya kisi ne un ki aamad ka ishaara kar diya

dekh kar saqi ki mastana nigahi ai 'guhar'
zindagi ko hum ne waqf-e-jam-o-mina kar diya