dard-e-dil ke liye kuchh aisi dawa li hum ne
Tis gar kam bhi hui aur baDha li hum ne
apne ashkon ko tabassum se chhupaya jaise
jism uryan tha to parina qaba li hum ne
umr-bhar shahr-e-nigaran mein wafa ko tarse
apni na-karda gunahi ki saza li hum ne
chiKHte lamhon se andar ka na rishta TuTa
warna bahar ki to KHamosh faza li hum ne
ek mahshar sa bapa tha kai aawazon ka
bolna chaha to mange ki sada li hum ne
Ghazal
Dard-e-dil ke liye kuchh aisi dawa li humne
Satya Nand Java