dard-e-dil bhi kabhi lahu hoga
koi arman to sruKH-ru hoga
aarzu koi bar na aaegi
yahi anjam-e-arzu hoga
dekh kar mere dil ki barbaadi
kaun shaida-e-rang-o-bu hoga
aaine mein hamein wo dekhenge
aaina un ke ru-ba-ru hoga
hum na honge to ai gham-e-jaanan
kis ko yara-e-arzu hoga
kuchh to farmaen aap tum ya tu
kuchh to andaz-e-guftugu hoga
un ke andaza-e-karam ke liye
har nafas waqf-e-arzu hoga
tab-e-nazzara-e-jamal kise
ek main hunga ek tu hoga
mere aate hi bazm saqi mein
sab ke lab par subu subu hoga
harf-e-matlab zaban pe kyun aae
ye to izhaar-e-arzu hoga
manzilon se guzar ke bhi 'sahir'
dil ka maqsud justuju hoga
Ghazal
Dard-e-dil bhi kabhi lahu hoga
Sahir Hoshiyarpuri