اردو हिंदी
Dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha | Shaahi Shayari
dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha

Ghazal

Dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha

Mustafa Zaidi

;

dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha
aag sahra mein lagi aur dhuan ghar se uTha

tabish-e-husn bhi thi aatish-e-duniya bhi magar
shoala jis ne mujhe phunka mere andar se uTha

kisi mausam ki faqiron ko zarurat na rahi
aag bhi abr bhi tufan bhi saghar se uTha

be-sadaf kitne hi dariyaon se kuchh bhi na hua
bojh qatre ka tha aisa ki samundar se uTha

chand se shikwa-ba-lab hun ki sulaya kyun tha
main ki KHurshid-e-jahan-tab ki Thokar se uTha