dard-e-alam bhi kahin dard-e-mohabbat hi na ho
dil ke bahlane ki ye bhi koi surat hi na ho
aaj tazin-e-jamal ek fasana hi sahi
kal ye mashshatgi-e-husn haqiqat hi na ho
un ki aankhon mein machalta hai jo afsana-e-shauq
sochta hun kahin wo meri hikayat hi na ho
be-ruKHi par jise mahmul kiya karta hun
wo bhi kuchh aap ka andaz-e-mohabbat hi na ho
aaj KHud husn ko dekha hai sar-e-kucha-e-ishq
dekhen aaghaz koi taza riwayat hi na ho
aql bhi ab rasan-o-dar tak aa pahunchi hai
tiflak-e-shauq ki ek ye bhi shararat hi na ho
Ghazal
Dard-e-alam bhi kahin dard-e-mohabbat hi na ho
Mazhar Imam