اردو हिंदी
Dard-e-aghaz-e-mohabbat ka ab anjam nahin | Shaahi Shayari
dard-e-aghaz-e-mohabbat ka ab anjam nahin

Ghazal

Dard-e-aghaz-e-mohabbat ka ab anjam nahin

Safi Lakhnavi

;

dard-e-aghaz-e-mohabbat ka ab anjam nahin
zindagi kya hai agar maut ka paigham nahin

kijiye ghaur to har lazzat-e-duniya hai fareb
kaun dana hai yahan par jo tah-e-dam nahin

hai tanazzul ki zamane ne taraqqi ki hai
kufr wo kufr ab islam wo islam nahin

kaun aazad nahin halqa-bagoshon mein tere
naqsh kis dil ke nagine pe tera nam nahin

na-rasida hai tera mewa-e-jannat zahid
puKHta maghzon ko talash-e-samr-e-KHam nahin

yahi jannat hai jo hasil ho sukun-e-KHatir
aur dozaKH yahi duniya agar aaram nahin

sher-goi ke liye bas wahi mauzun hai 'safi'
jis ko juz fikr-e-suKHan aur koi kaam nahin