dard dil mein magar lab pe muskan hai
hauslon ki hamare ye pahchan hai
lakh koshish karo aa ke jati nahin
yaad ek bin bulai si mehman hai
khilkhilata hai jo aaj ke daur mein
ek ajube se kya kam wo insan hai
zar zamin saltanat se hi hota nahin
jo de bhuke ko roTi, wo sultan hai
mir, tulsi, zafar, josh, mira, kabir
dil hi 'ghaalib' hai aur dil hi 'rasKHan' hai
panch karta hai jo, do mein do joD kar
aaj-kal sirf us ka hi gun-gan hai
DhunDta phir raha phul par titliyan
shahr mein wo naya hai ki nadan hai
gar na samjha to 'niraj' lagegi kaThin
zindagi ko jo samjha to aasan hai
Ghazal
Dard dil mein magar lab pe muskan hai
Neeraj Goswami