dard darman se kam to kya hoga
yahi hoga ki kuchh siwa hoga
kis qayamat ka samna hoga
bujh gaya dil to aah kya hoga
khul gae hain KHushi se sab ke dahan
zaKHm-e-dil koi chhu gaya hoga
husn ko chahe aur dur rahe
koi hum sa bhi parsa hoga
maut aaegi aur na aaegi
tum na aae to aur kya hoga
dil pe angare se baraste hain
dhyan rahat ka aa gaya hoga
sham hi se hai dil ki haalat ghair
subh tak to na jaane kya hoga
lakh de ranj lakh zulm kare
dilruba phir bhi dilruba hoga
wo mujhe mil gae zahe tala
na mila dil se dil to kya hoga
ye bhi koi karahne ki hai baat
kuchh 'jigar' dard baDh gaya hoga
miT gaya dil jigar qarar nahin
is mohabbat ka hashr kya hoga
ruKH jo us ne 'jigar' se pher liya
dagh dil ka dikha diya hoga
Ghazal
Dard darman se kam to kya hoga
Jigar Barelvi