dard auron ka dil mein gar rakhiye
be-gharaz ho ke umr-bhar rakhiye
ho hi jaengi mushkilen aasan
aql sa ek rahbar rakhiye
panw Thahren KHayal chalte rahen
ek aisa bhi to safar rakhiye
us ke dam se hai aabru ka wajud
apne kirdar par nazar rakhiye
ho ishaara ki bah sake na hawa
aankh mein itna to asar rakhiye
dosti mein hai shart ye 'darwesh'
zikr main tu ka taq par rakhiye
Ghazal
Dard auron ka dil mein gar rakhiye
darvesh bharti