dard apna tha to is dard ko KHud sahna tha
na kisi aur se dukh apna kabhi kahna tha
ghalati ki ki murawwat mein musibat jheli
zulm bardasht hi karna tha na chup rahna tha
ashk ban kar jo na bahta to ragon mein bahta
kisi surat se lahu tha to use bahna tha
shubh hota tha ki hai rang-e-badan ya malbus
be-libasi thi libas us ne kahan pahna tha
main jo mar jaun to sab log kahenge 'azar'
itni bosida imarat thi ise Dhahna tha
Ghazal
Dard apna tha to is dard ko KHud sahna tha
Rashid Aazar