dard aasani se kab pahlu badal kar nikla
aankh ka tinka bahut aankh masal kar nikla
tere mehman ke swagat ka koi phul the hum
jo bhi nikla hamein pairon se kuchal kar nikla
shahr ki aankhen badalna to mere bas mein na tha
ye kiya main ne ki main bhes badal kar nikla
mere raste ke masail the nokile itne
mere dushman bhi mere pairon se chal kar nikla
Dagmagane na diye panw rawa-dari ne
main sharabi tha magar roz sambhal kar nikla
Ghazal
Dard aasani se kab pahlu badal kar nikla
Haseeb Soz