dard-amez hai kuchh yun meri KHamoshi bhi
ras aati nahin mujh ko ye KHirad-poshi bhi
kaisi hairat hai ki ek main hi na behosh raha
kya tajjub hai ki chhati nahin madhoshi bhi
yaad ka kaun sa aalam hai ki main marta hun
aur zinda hai mera KHwab-e-faramoshi bhi
kis ki aaankhon ka nasha hai ki mere honTon ko
is qadar tar nahin kar sakti bala-noshi bhi
main kinara bhi karun KHud se to mumkin hai kahan
ki na ho tere talluq se ham-aghoshi bhi
Ghazal
Dard-amez hai kuchh yun meri KHamoshi bhi
Taleef Haidar