dard aa ke baDha do dil ka tum ye kaam tumhein kya mushkil hai
bimar banana aasan hai har-chand mudawa mushkil hai
ilzam na denge hum tum ko taskin mein koi ki na kami
wada to wafa ka tum ne kiya kya kijiye ifa mushkil hai
dil toD diya tum ne mera ab joD chuke tum TuTe ko
wo kaam nihayat aasan tha ye kaam bala ka mushkil hai
aaghaz se zahir hota hai anjam jo hone wala hai
andaz-e-zamana kahta hai puri ho tamanna mushkil hai
mauquf karo ab fikr-e-suKHan 'wahshat' na karo ab zikr-e-suKHan
jo kaam ki be-hasil Thahra dil us mein lagana mushkil hai
Ghazal
Dard aa ke baDha do dil ka tum ye kaam tumhein kya mushkil hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi