اردو हिंदी
Darbar mein ab satwat-e-shahi ki alamat | Shaahi Shayari
darbar mein ab satwat-e-shahi ki alamat

Ghazal

Darbar mein ab satwat-e-shahi ki alamat

Faiz Ahmad Faiz

;

darbar mein ab satwat-e-shahi ki alamat
darban ka asa hai ki musannif ka qalam hai

aawara hai phir koh-e-nida par jo bashaarat
tamhid-e-masarrat hai ki tul-e-shab-e-gham hai

jis dhajji ko galiyon mein liye phirte hain tiflan
ye mera gareban hai ki lashkar ka alam hai

jis nur se hai shahr ki diwar daraKHshan
ye KHun-e-shahidan hai ki zar-KHana-e-jam hai

halqa kiye baiThe raho ek shama ko yaro
kuchh raushni baqi to hai har-chand ki kam hai