daraKHton se juda hote hue patte agar bolen
to jaane kitne bhule-bisre afsanon ke dar kholen
ikaTThe baiTh kar baaten na phir shayad mayassar hon
chalo in aaKHiri lamhon mein ji bhar kar hansen bolen
hawa mein bas gai hai phir kisi ke jism ki KHushbu
KHayalon ke parinde phir kahin uDne ko par taulen
jahan the muttafiq sab apne begane Dubone ko
usi sahil pe aaj apni ana ki sipiyan rolen
bhanwar ne jin ko la phenka tha is be-rahm sahil par
hawaen aaj phir un kashtiyon ke baadban kholen
na koi rokne wala na koi Tokne wala
akele aaine ke samne hans len kabhi rolen
Ghazal
DaraKHton se juda hote hue patte agar bolen
Khalid Sharif