daraaz-dast ko dast-e-ata kahin na mila
baKHil-e-shahr tha hajat-rawa kahin na mila
fasil-e-shab pe sahar ka diya jalata kaun
ki koi shaKHs mujhe jagta kahin na mila
lahu ki aag thi raushan har ek hatheli par
kisi bhi hath pe rang-e-hina kahin na mila
gira KHud apni nazar se to puchhta phir kaun
KHudi ganwai to mujh ko KHuda kahin na mila
sabhi the apne KHudaon se bad-guman shayad
kisi zaban pe harf-e-dua kahin na mila

Ghazal
Daraaz-dast ko dast-e-ata kahin na mila
Jameel Qureshi