اردو हिंदी
Daraegi bhala kya teri gardish aasman mujhko | Shaahi Shayari
Daraegi bhala kya teri gardish aasman mujhko

Ghazal

Daraegi bhala kya teri gardish aasman mujhko

Adeel Zaidi

;

Daraegi bhala kya teri gardish aasman mujh ko
mila rab se dua-e-fatima ka saeban mujh ko

chali hai chhoD kar tu kyun bahaar-e-gulistan mujh ko
KHuda jaane kahan le jae ab baad-e-KHizan mujh ko

main shukr-e-rab ka qail hun hawa kaisi hi chalti ho
pata aasaniyon ka de gain hain saKHtiyan mujh ko

jala dunga husul-e-manzil-e-maqsud ki KHatir
jalani paD gain gar sari apni kashtiyan mujh ko

na sham-e-anjuman mein hun na parwanon ka mela hai
kahan tha main kahan le aai hai umr-e-rawan mujh ko

suna hai sab bhula baiThe 'adil'-e-dil-shikasta ko
na jaane aa rahi hain sham se kyun hichkiyan mujh ko