Dara rahe hain ye manzar bhi ab to ghar ke mujhe
dikhai KHwab diye raat bhar khanDar ke mujhe
har ek ghazal mein main rozana chand Tankta hun
sitare chumte hain shab utar utar ke mujhe
ganwa di umr use nazm kar nahin paya
saliqe aate hain waise to har hunar ke mujhe
is ek shauq ne mujh ko miTa diya yaro
bas ek bar kabhi dekhna tha mar ke mujhe
kinare baiTh ke karta hun nazm ashkon ko
nadi sunati hai afsane chashm-e-tar ke mujhe
main ek adhuri si taswir tha udasi ki
kiya hai us ne mukammal tabah kar ke mujhe
Ghazal
Dara rahe hain ye manzar bhi ab to ghar ke mujhe
Dinesh naaidu