Dara raha hai mujhe ek Dar andhere mein
bichhaD na jae kahin ham-safar andhere mein
umaDti kali ghaTaon ko rokna hoga
na Dub jae kahin dopahar andhere mein
karo na mere liye tum koi diya raushan
mujhe ab aane laga hai nazar andhere mein
kai charaghon ne udham machai thi ek shab
tabhi se Dub gaya ghar ka ghar andhere mein
wo apni zat mein ek chand hai pa waqt-e-sahar
main apni zat mein jugnu hun par andhere mein
har aadmi nikal aata hai KHol se bahar
koi bhi rahta nahin mo'atabar andhere mein
charagh walon ke sab dawe khokhle nikle
main kar raha hun musalsal safar andhere mein
'kamal' Dal do tum kuDe-dan mein un ko
charagh jalte nahin hain agar andhere mein
Ghazal
Dara raha hai mujhe ek Dar andhere mein
Ahmad Kamal Hashmi