Dara ke mauj o talatum se ham-nashinon ko
yahi to hain jo Duboya kiye safinon ko
sharab ho hi gai hai ba-qadr-e-paimana
ba-azm-e-tark nichoDa jab aastinon ko
jamal-e-subh diya ru-e-nau-bahaar diya
meri nigah bhi deta KHuda hasinon ko
hamari rah mein aae hazar mai-KHane
bhula sake na magar hosh ke qarinon ko
kabhi nazar bhi uThai na su-e-baada-e-nab
kabhi chaDha gae pighla ke aabginon ko
yahi jahan hai jahannam yahi jahan firdaus
batao aalam-e-baala ke sair-binon ko
hue hain qafile zulmat ki wadiyon mein rawan
charagh-e-rah kiye KHun-chakan jabinon ko
tujhe na mane koi tujh ko is se kya 'majruh'
chal apni rah bhaTakne de nukta-chinon ko
Ghazal
Dara ke mauj o talatum se ham-nashinon ko
Majrooh Sultanpuri