اردو हिंदी
Dar ye hai bazuon mein mom ki surat na pighal jae kahin | Shaahi Shayari
Dar ye hai bazuon mein mom ki surat na pighal jae kahin

Ghazal

Dar ye hai bazuon mein mom ki surat na pighal jae kahin

Khalid Ahmad

;

Dar ye hai bazuon mein mom ki surat na pighal jae kahin
tu mere sath mere jism ke dozaKH mein na jal jae kahin

ghar se gata hua nikla to hun main naghma-e-ehsas magar
shahr ke shor mein dab jaen na sar lai na badal jae kahin

faqat is KHauf se jata nahin main subh-e-tarab ki jaanib
ufuq-e-dil se tere dard ka mahtab na Dhal jae kahin

ye tera kaam nahin dekh na duniya ki taraf gae ja
maddham ek aah mein ek chiKH mein pancham na badal jae kahin

subh nazdik hai karwaT bhi badal soch samajh kar 'KHalid'
zehn par aaKHir-e-shab nind ki talwar na chal jae kahin