dar TuTne lage kabhi diwar gir paDe
har roz mere sar pe ye talwar gir paDe
itna bhi inhisar mere sae par na kar
kya jaane kab ye mom ki diwar gir paDe
sansen bichha ke soun ki dast-e-nasim se
shayad kisi ke jism ki mahkar gir paDe
Thahre to saeban hawa ne uDa diye
chalne lage to rah ke ashjar gir paDe
har zawiye pe soch mein ubhre wahi badan
har daere pe hath se parkar gir paDe
'azhar' ye lamha lamha sulagna azab hai
mujh par jo barq girni hai ek bar gir paDe
Ghazal
Dar TuTne lage kabhi diwar gir paDe
Azhar Adeeb