dar tak ab chhoD diya ghar se nikal kar aana 
ya wo raaton ko sada bhes badal kar aana 
hamdamo ye koi rona hai ki tufan hai aah 
dekhiyo chashm se dariya ka ubal kar aana 
qasd jab jaane ka karta hun main us shoKH ke pas 
tegh-e-abru ye kahe hai ki sambhal kar aana 
hasil us kuche mein jaane se hamein hai aur kya 
ulTe ghar apne magar KHak mein ral kar aana 
wan se awwal dil-e-be-tab tu kab aata hai 
aur aana bhi to sau ja pe machal kar aana 
hamdamo meri sifarish ko to jate ho wale 
kahin wan ja ke na kuchh aur KHalal kar aana 
Dube yun bahr-e-mohabbat mein ki ab jite-ji 
apna dushwar hai upar ko uchhal kar aana 
ku-e-qatil mein dam-e-naza koi le jao 
ja ke us ja hamein uqda hai ye hal kar aana 
us ka be-wajh nahin hai ye chaman se bahar 
gul mere samne hathon mein masal kar aana 
bazm-e-KHuban mein agarche koi parchae hazar 
par tere pas hamein wan se bhi Tal kar aana 
ji chala tan se mere jald ze-rah-e-ashfaq 
ghar se do chaar qadam aise mein chal kar aana 
'jurat' us ki kahun kya tujh se tarah-dari main 
jaana jab uTh ke tab ek rup badal kar aana
 
        Ghazal
Dar tak ab chhoD diya ghar se nikal kar aana
Jurat Qalandar Bakhsh

