dar se mayus tere talib-e-ikram chale
kaisi ummid liye aae the nakaam chale
o meri bazm-e-tamanna ke sajaane wale
lutf kar lutf ki duniya mein tera nam chale
chhin le charKH-e-sitamgar se andaz-e-KHiram
kuchh agar zor tera gardish-e-ayyam chale
ek wo hain ki tera lutf-o-karam hai jin par
ek hum hain ki teri bazm se nakaam chale
azm-e-rasiKH ne bhi ghabra ke qadam toD diye
kucha-e-yar mein hum yun sahar-o-sham chale
mast aankhon ka agar ek ishaara ho jae
wajd mein aae subu aur kahin jam chale
nind bimar-e-mohabbat ko kahin aati hai
subh ta-sham agar baad-e-subuk-gam chale
rah-raw-e-ishq hain manzil ki hamein kya ummid
kya chale KHak agar baiTh ke do-gam chale
kaun jae hadaf-e-tir-e-nazar hone ko
sabr se kaam agar ai dil-e-nakaam chale
haif sad haif thi ummid-e-rifaqat jin se
aaj wo bhi mere sar thop ke ilzam chale
ek 'shatir' ke na hone se bigaDta kya hai
teri mahfil rahe aabaad tera nam chale
Ghazal
Dar se mayus tere talib-e-ikram chale
Shatir Hakeemi