dar-pesh nahin naql-e-makani kai din se
aai na tabiat mein rawani kai din se
phir ret ke dariya pe koi pyasa musafir
likhta hai wahi ek kahani kai din se
dushman ka kinare pe baDa saKHt hai pahra
aaya na mere shahr mein pani kai din se
saunpe the kahan dhup ke mausam ko ghane peD
main DhunDh raha hun wo nishani kai din se
shayad koi bhaTka hai wahan qafila 'azhar'
sahra ne meri KHak na chhani kai din se
Ghazal
Dar-pesh nahin naql-e-makani kai din se
Azhar Naqvi