dar pe tere jo sar jhuka lunga
is jahan mein sukun pa lunga
chahe kirdar tum naya lena
main to mele se aaina lunga
phir na dastak se nind TuTegi
aaj darwaza toD Dalunga
kuchh bhi mange koi duaon mein
main musafir hun rasta lunga
aag to aag hai jalaegi
ashk bhi ashk hai bujha lunga
apni gahrai mein mukammal hun
teri unchaiyon se kya lunga
ruh aur bhi meri chamak jae
tere zaKHmon ko aise pa lunga
sach to ye hai ki sach nahin kuchh bhi
sirf afsane ka maza lunga
tum jo pa jao rah-e-ishq 'wijay'
rafta-rafta tumhein main pa lunga
Ghazal
Dar pe tere jo sar jhuka lunga
Vijay Sharma Arsh