اردو हिंदी
Dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise | Shaahi Shayari
dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise

Ghazal

Dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise

Karamat Ali Shaheedi

;

dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise
gar kije gila saf mukar jate hain kaise

aane mein to sau tarah ki sohbat thi shab-e-wasl
dekhenge par ab uTh ke sahar jate hain kaise

ranjish ka meri pas nahin aap ko mutlaq
barham tujhe hum dekh ke Dar jate hain kaise

ghusse mein naya rang nikale hain pari-ru
jun-jun ye bigaDte hain sanwar jate hain kaise

is sahib-e-ismat ko yahi soch hai har subh
be-wajh mere baal bikhar jate hain kaise

ayyam musibat ke to kaTe nahin kaTte
din aish ke ghaDiyon mein guzar jate hain kaise

wo waqt to aane de bata denge 'shahidi'
bin aae kisi shaKHs pe mar jate hain kaise