dar-parda jafaon ko agar jaan gae hum
tum ye na samajhna ki bura man gae hum
ab aur hi aalam hai jahan ka dil-e-nadan
ab hosh mein aae to meri jaan gae hum
palkon pe larazte hue tare se ye aansu
ai husn-e-pashiman tere qurban gae hum
hum aur tere husn-e-taghaful se bigaDte
jab tu ne kaha man gae man gae hum
badla hai magar bhes gham-e-ishq ka tu ne
bas ai gham-e-dauran tujhe pahchan gae hum
hai 'saif' bas itna hi to afsana-e-hasti
aae the pareshan pareshan gae hum
Ghazal
Dar-parda jafaon ko agar jaan gae hum
Saifuddin Saif