dar-o-diwar se Dar lag raha tha
tera ghar bhi mera ghar lag raha tha
usi ne sab se pahle haar mani
wahi sab se dilawar lag raha tha
jise mahtab kahta tha zamana
tere kuche ka patthar lag raha tha
jagah ab chhoD dun beTe ki KHatir
wo kal mere barabar lag raha tha
KHabar kya thi bagulon ka hai maskan
pare se to samundar lag raha tha
chhalakti thi ghazal har zawiye se
tera paikar suKHnawar lag raha tha
Thaharta kaun ek mere alawa
wahan to daw par sar lag raha tha
teri yaadon ki rut aai hui thi
ye sahra mor ka par lag raha tha
mere diwar-o-dar bhi kaghzi the
ghaTa mein bhi samundar lag raha tha
Ghazal
Dar-o-diwar se Dar lag raha tha
Azhar Adeeb