dar-o-bast-e-anasir para para hone wala hai
jo pahle ho chuka hai phir dobara hone wala hai
guman-e-mahr mein ye baat hi shayad nahin hogi
huwaida KHak se bhi ek sharara hone wala hai
kinara kar na ai duniya meri hast-e-zabuni se
koi din mein mera raushan sitara hone wala hai
pighalne ja raha hai phir se bahr-e-munjamid koi
samundar hi samundar ka kinara hone wala hai
bahut maKHfi jise rakkha gaya tha chashm-e-imkan se
abhi kuchh din mein us ka bhi nazara hone wala hai
hamin hain us ki ninden aur hamin us ke nigahban hain
hamare KHwab par kis ka ijara hone wala hai
wahi 'tariq'-naiim ab is qafas ke bab kholega
kisi ki aankh se jo ek ishaara hone wala hai
Ghazal
Dar-o-bast-e-anasir para para hone wala hai
Tariq Naeem