اردو हिंदी
Dar nahin mujhko gunahon ki giran-bari ka | Shaahi Shayari
Dar nahin mujhko gunahon ki giran-bari ka

Ghazal

Dar nahin mujhko gunahon ki giran-bari ka

Mohammad Ali Jauhar

;

Dar nahin mujh ko gunahon ki giran-bari ka
teri rahmat hai sabab meri subuksari ka

dar ne ek sag-e-duniya ko ye baKHsha hai uruj
hai farishton mein bhi charcha meri din-dari ka

dil o jaan saunp chuke hum tujhe ai jaan-e-jahan
ab hamein KHauf hi kya apni giraftari ka

jaan bhi chiz hai koi ki rakhen tum se daregh
pas itna bhi na ho rasm-e-wafadari ka

saqiya sab ko teri ek nazar kafi thi
tha kise hosh tere ahd mein hushyari ka

main fida aaj bhi ho jae wahi ek nigah
KHatma ho kahin is daur ki KHuddari ka

aashiqon ke liye hai dar hi daru-e-shifa
ishq ki tib mein dawa nam hai bimari ka

ajal istada hai baalin pe mariz-e-gham-e-ishq
aankh to khol zara waqt hai bedari ka

'jauhar' aur hajib o darban ki KHushamad kya KHub
arsh o kursi pe guzar hai tere darbari ka