dar koi jannat-e-pindar ka wa karta hun
aaina dekh ke main hamd-o-sana karta hun
raat aur din ke kinaron ke talluq ki qasam
waqt milte hain to milne ki dua karta hun
wo tera unchi haweli ke qafas mein rahna
yaad aae to parindon ko riha karta hun
ek laDki ke taaqub mein kai barson se
nit-nai zat ke hotel mein raha karta hun
puchhta rahta hun maujon se guhar ki KHabren
ashk-e-gum-gashta ka dariya se pata karta hun
mujh se 'mansur' kisi ne to ye pucha hota
nange panw main tere shahr mein kya karta hun
Ghazal
Dar koi jannat-e-pindar ka wa karta hun
Mansoor Aafaque