اردو हिंदी
Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein | Shaahi Shayari
Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein

Ghazal

Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein

Muneer Niyazi

;

Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein
zar ke zor se zinda hain sab KHak ke is virane mein

jaise rasm ada karte hon shahron ki aabaadi mein
subh ko ghar se dur nikal kar sham ko wapas aane mein

nile rang mein Dubi aanhken khuli paDi thin sabze par
aks paDa tha aasaman ka shayad is paimane mein

dabi hui hai zer-e-zamin ek dahshat gung sadaon ki
bijli si kahin laraz rahi hai kisi chhupe tah-KHane mein

dil kuchh aur bhi sard hua hai sham-e-shahr ki raunaq se
kitni ziya be-sud gai shishe ke lafz jalane mein

main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein