dar-e-umid muqaffal nahin hua ab tak
main tere hijr mein pagal nahin hua ab tak
tamam umr KHushi sath de nahin pai
nuzul-e-gham bhi musalsal nahin hua ab tak
tere baghair jo ek masala bana hua tha
to mil gaya bhi to wo hal nahin hua ab tak
main us ko bhul chuka hun ajib baat hai ye
jo chehra aankh se ojhal nahin hua ab tak
taghayyuraat ne dastur sab badal Dale
usul-e-ishq moattal nahin hua ab tak
na jaane kaun musawwir bana raha hai mujhe
mera wajud mukammal nahin hua ab tak
ye tere ishq ki tauhin hai pari-zadi
main teri yaad mein bekal nahin hua ab tak
Ghazal
Dar-e-umid muqaffal nahin hua ab tak
inaam azmi