اردو हिंदी
Dar-e-shahi se dar-e-gadai pe aa gaya hun | Shaahi Shayari
dar-e-shahi se dar-e-gadai pe aa gaya hun

Ghazal

Dar-e-shahi se dar-e-gadai pe aa gaya hun

Ali Muzammil

;

dar-e-shahi se dar-e-gadai pe aa gaya hun
main narm bistar se chaarpai pe aa gaya hun

badan ki sari tamazaten mand paD rahi hain
wo bebasi hai ki parsai pe aa gaya hun

nahin hai chehre ka haal paDhne ki KHu kisi mein
sukut toDa hai lab-kushai pe aa gaya hun

husul-e-ganj-e-ata-e-ghaibi ke waste ab
sifat-e-rabbi ki jubba-sai pe aa gaya hun

utar phenka musalahat ka libas main ne
sukut toDa hai lab-kushai pe aa gaya hun

futur mujh mein nahin hai koi sabab to hoga
duaen deta hua duhai pe aa gaya hun

'ali' mein sabze ko raundne ki saza ke bais
barahna-sar se barahna-pai pe aa gaya hun