dar-e-mai-KHana se diwar-e-chaman tak pahunche
hum ghazalon ke taaqub mein KHutan tak pahunche
hath mai-KHwaron ke be-qasd uThe the lekin
ittifaqan tere gesu ki shikan tak pahunche
madrase mein kahan us zulf ka mauzu-e-jadid
log pahunche to riwayat-e-kuhan tak pahunche
rasta ek tha hum ishq ke diwanon ka
qad-o-gesu se chale dar-o-rasan tak pahunche
aaen hum dast-daraazi pe to maiKHane se
silsila anjuman-e-sarw-o-saman tak pahunche
ek qaba-e-subuk-o-tang mein sau sau hain tilism
kya koi husn ke asrar-e-kuhan tak pahunche
aap hi aap jo khul jae teri zulf-e-daraaz
na-gahan be-hunari nuqta-e-fan tak pahunche
ai suKHan-fahm hum us bazm se aae hain jahan
hairat aaina-e-uslub-e-suKHan tak pahunche
is tarah shauq-e-ghazalan mein ghazal-KHwan ho zafar
shohrat-e-mushk-e-ghazal shahr-e-KHutan tak pahunche
Ghazal
Dar-e-mai-KHana se diwar-e-chaman tak pahunche
Sirajuddin Zafar