dar-e-KHayal bhi kholen siyah shab bhi karen
phir us ke baad tujhe sochen ye ghazab bhi karen
wo jis ne sham ke mathe pe hath phera hai
hum us charagh-e-hawa-saz ka adab bhi karen
siyahiyan si bikharne lagi hain sine mein
ab us sitara-e-shab-tab ki talab bhi karen
ye imtiyaz zaruri hai ab ibaadat mein
wahi dua jo nazar kar rahi hai lab bhi karen
ki jaise KHwab dikhana tasalliyan dena
kuchh ek kaam mohabbat mein be-sabab bhi karen
main jaanta hun ki tabir hi nahin mumkin
wo mere KHwab ki tashrih chahe jab bhi karen
shikast-e-KHwab ki manzil bhi kab nai hai hamein
wahi jo karte chale aaen hain so ab bhi karen
Ghazal
Dar-e-KHayal bhi kholen siyah shab bhi karen
Abhishek Shukla