dar-e-imkan se guzar kar sar-e-manzar aa kar
hum ajab lahar mein hain apne nae ghar aa kar
jise jaana hi nahin apne kinaron se juda
use dekha bhi nahin mauj se bahar aa kar
aatish-e-gham pe nazar ki hai kuchh aise ki ye aanch
baat kar sakti hai ab mere barabar aa kar
tu ne kis harf ke aahang mein Dhaala tha mujhe
sans bhi TuT raha hai sar-e-mahzar aa kar
use dekha tha KHat-e-KHwab ke us par kabhi
ye sitara jo gira hai mere andar aa kar
ek sada koh-e-nida se kisi apne ki sada
rone lag jati hai is dasht mein aksar aa kar
shaKH-ta-shaKH ajab aalam-e-wahshat hai abhi
tair-e-jaan kabhi Thahra tha mere ghar aa kar
Ghazal
Dar-e-imkan se guzar kar sar-e-manzar aa kar
Shaheen Abbas