dar-ba-dar ki KHak peshani pe mal kar aaega
ghum-phir kar rasta phir mere hi ghar aaega
samne aankhon ke phir yaKH-basta manzar aaega
dhup jam jaegi aangan mein december aaega
shor kaisa apni aahaT bhi na sun paoge tum
is safar mein aisa sannaTa to aksar aaega
jis ki KHatir shisha-e-awaz raushan hai bahut
us ki jaanib se bhi KHamoshi ka patthar aaega
sehn-e-dil mein kab se tanhai ke KHeme nasb hain
ab na shayad mausam-e-hangama-parwar aaega
zindagi bhar hum isi ummid par chalte rahe
ab ke sahra par kar len to samundar aaega
munhadim ho jaegi 'aKHtar' fasil-e-intishaar
jab nawah-e-jaan mein virani ka lashkar aaega
Ghazal
Dar-ba-dar ki KHak peshani pe mal kar aaega
Sultan Akhtar