اردو हिंदी
Damak raha tha bahut yun to pairahan us ka | Shaahi Shayari
damak raha tha bahut yun to pairahan us ka

Ghazal

Damak raha tha bahut yun to pairahan us ka

Rajinder Manchanda Bani

;

damak raha tha bahut yun to pairahan us ka
zara se lams ne raushan kiya badan us ka

wo KHak uDane pe aae to sare dasht us ke
chale gudaz-qadam to chaman chaman us ka

wo jhuT sach se pare raat kuchh sunata tha
dilon mein rast utarta gaya suKHan us ka

ajib aab-o-hawa ka wo rahne wala hai
milega KHwab o KHala mein kahin watan us ka

teri taraf se na kya kya sitam hue us par
main jaanta hun bahut dost bhi na ban us ka

wo roz sham se shamen dhuan dhuan us ki
wo roz subh ujala kiran kiran us ka

meri nazar mein hai mahfuz aaj bhi 'bani'
badan kasa hua malbus be-shikan us ka