dam sadh ke dekhun tujhe jhapkun na palak bhi
aankhon mein samo lun tere lahje ki damak bhi
ai ishq agar mujh ko tera izn ho mumkin
aaghosh mein le lun tere paikar ki mahak bhi
ai zikr mere fikr ki taqdir badal de
ai nur mere nutq ke kase mein jhalak bhi
ai qatra-e-KHun mushaf-e-ruKHsar pe til bin
ai satr-e-tapan kaghaz-e-sada pe dahak bhi
dil arz-e-hunar hai to badan arz-e-hunar hai
ai mere dil-e-sada mere tan mein dhaDak bhi
ye rang mere nur mein rakkhe hain usi ne
gundhwai thi jis ne meri miTTi ki mahak bhi
us shahr ki jaanib mere panw nahin uThte
is dil se wahi dur karega ye jhijak bhi
kya main ne kiya hai ki saza-war-e-ridan hun
mujh ko to bahut hai teri kamli ki jhalak bhi
Ghazal
Dam sadh ke dekhun tujhe jhapkun na palak bhi
Khalid Ahmad