اردو हिंदी
Dam le ai kohkan ab tesha-zani KHub nahin | Shaahi Shayari
dam le ai kohkan ab tesha-zani KHub nahin

Ghazal

Dam le ai kohkan ab tesha-zani KHub nahin

Shah Naseer

;

dam le ai kohkan ab tesha-zani KHub nahin
jaan-e-shirin ko na kho koh-kani KHub nahin

Tuk tu hans-bol ye ghuncha-dahani KHub nahin
rashk-e-gul itni bhi han kam-suKHani KHub nahin

sar pe qumri ko biThaya to hai tu ne par sarw
teri aazad-washi be-kafani KHub nahin

qabil-e-chasm-numai hai tu ai tifl-e-sarishk
abtar itna bhi na ho nashudani KHub nahin

fasl-e-gul aane de dikhla na abhi se zanjir
ye rawish mauj-e-nasim-e-chamani KHub nahin

mana hansne se to karta nahin ai barq-washo
phir shararat se ye chashmak-zadani KHub nahin

ho sake tujh se to kar murgh-e-chaman gul ka ilaj
us ko bimari-e-aza-shikani KHub nahin

koi dam aur bhi us abru-e-pur-KHam ko chhu
asfahani ye abhi tegh bani KHub nahin

chashm se us ki na kar daw-e-ham-chashmi dekh
ki KHata aisi ghazal-KHutani KHub nahin

mar khaega wo KHayyat ki jis ne tere
band jame ke liye nag-phani KHub nahin

munh ko dekh apne tu aur us ke lab-e-lal ko dekh
ru-kashi us se aqiq-e-yamani KHub nahin

tark chashm-e-but-e-bad-kesh KHayal us ka chhoD
murgh-e-dil sahme hai nawak-fagani KHub nahin

shaKH-e-gul hai ki kamar baad se lachke hai teri
ai miyan itni bhi nazuk-badani KHub nahin

main bhi hun baadiya-paima-e-junun ai majnun
is qadar aage mere laf-zani KHub nahin

chhalni kanTon se hue go mere talwe lekin
dasht-e-wahshat ki abhi KHak chhani KHub nahin

zahr kha jaunga ai saqi-e-paimana-ba-kaf
baz aa jaane de paiman-shikani KHub nahin