dam ghanimat hai ki waqt-e-KHush-dili milta nahin
ye saman ye chain duniya mein kabhi milta nahin
dekhiyo nafrat ki mera nam gar lewe koi
ru-ba-ru us ke, to phir wo us se bhi milta nahin
kya karun na-sazi-e-talea ka main shikwa ki aah
jis ko ji chahe hai mera us ka ji milta nahin
kho ke mujh ko hath se sunte ho pachhtaoge tum
mano kahna bhi ki mujh sa aadmi milta nahin
kis taraf jata raha kya jaane wo wahshi-mizaj
DhunDte phirte hain hum aur 'mushafi' milta nahin
Ghazal
Dam ghanimat hai ki waqt-e-KHush-dili milta nahin
Mushafi Ghulam Hamdani

